Mook Naayak मूकनायक


Join the forum, it's quick and easy

Mook Naayak मूकनायक
Mook Naayak मूकनायक
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.
Search
 
 

Display results as :
 


Rechercher Advanced Search

Latest topics
» Books of Dr. B. R. Ambedkar with Gulamgiri by Jyotiba Phule in English
KYA HAI AMBEDKAR? EmptyMon May 20, 2019 3:36 pm by nikhil_sablania

» Books of Dr. B. R. Ambedkar with Gulamgiri by Jyotiba Phule in English
KYA HAI AMBEDKAR? EmptyMon May 20, 2019 3:34 pm by nikhil_sablania

» Books of Dr. B. R. Ambedkar with Gulamgiri by Jyotiba Phule in English
KYA HAI AMBEDKAR? EmptyMon May 20, 2019 3:32 pm by nikhil_sablania

» डॉ भीमराव अम्बेडकर के साहित्य के साथ गर्मियों की छुट्टियाँ बिताएं
KYA HAI AMBEDKAR? EmptySun May 19, 2019 1:36 pm by nikhil_sablania

» पुस्तक 'चलो धम्म की ओर' का विमोचन श्रीलंका के भारत के हाईकमीशनर ऑस्टिन फर्नांडो और वियतनाम के राजदूत सान चाओ द्वारा किया गया
KYA HAI AMBEDKAR? EmptySun May 19, 2019 1:18 pm by nikhil_sablania

» भारत की मीडिया का जातिवाद Bharat ki Media ka Jativaad
KYA HAI AMBEDKAR? EmptyMon Feb 09, 2015 3:46 pm by nikhil_sablania

» आसानी से प्राप्त करें व्यवसाय और निवेश की शिक्षा
KYA HAI AMBEDKAR? EmptyMon Nov 03, 2014 10:38 pm by nikhil_sablania

» ग्रामीण छात्र को भाया डॉ भीमराव अम्बेडकर का सन्देश: कहा व्यवसायी बनूंगा
KYA HAI AMBEDKAR? EmptySat Nov 01, 2014 1:17 pm by nikhil_sablania

» जाती की सच्चाई - निखिल सबलानिया
KYA HAI AMBEDKAR? EmptyMon Oct 27, 2014 1:57 pm by nikhil_sablania

Navigation
 Portal
 Index
 Memberlist
 Profile
 FAQ
 Search
Affiliates
free forum
 

KYA HAI AMBEDKAR?

Go down

KYA HAI AMBEDKAR? Empty KYA HAI AMBEDKAR?

Post  nikhil_sablania Tue Aug 16, 2011 4:14 pm

KYA HAI AMBEDKAR?

Desh main Ambedkar ji ka sthaan kya hai?

Ambedkar ji ka desh mein sthaan kayaam rkhnaa kyon zaruri hai?

Kyon unke sthaan par sabki nigaah hai?


Ambedkar Bharat ka Bahujan hai.
Bahujan Hi Ambedkar hai.
Dono ek hi hain.


Aiye samajhiye.

Is Bahujan {(Homogeneous mass (of India)} ka tatparya hai, bhu-sankhyak {(bahusankhyak) [(maximum number) of citizens of India]}.

Isi Bahujan ki wajah se desh mein saare kaam hote hai, desh sanchaalit hota hai.

Aur is Bahujan ka paalan poshan hona sabse jyadaa zaruri hai kyonki yahi Bahujan desh ko sanchalit karta hai, desh ki arth vyavastaa ko chalata hai aur yahi raashtra nirmaan ka karya poora kar raashtra ko drudh (majboot, strong) karta hai.

Yadi Bahujan ko nazar-andaaz kar diyaa jataa hai ko seedhe-seedhe desh Ko nazar-andaaz karne waali baat hogi.

Par Bharath ke hazaron varshon ke itihaas mein kuch hi samay aisaa hai jab ki Bahujan ka poshan theek se huaa ho.

Dhamma Ashoak (Ashoka the Great) ke baad Dr. BR Ambedkar hi "Aarakshan" aur "Samajik Nyaaya" ke roop main desh ke Bahujan ko aisi pranaali aur vyavastha de kar gayee they jis se ki desh ke Bahujan ka poshan aur kalyan ho sake aur us se raashtra ka nirmaan ho aur wah drudh (majboot, strong) bane.

Ambedkar ji ki di inhi pranaaliyon se desh naa sirf chal rahaa hai balki aaj duniyaa mein bahut unchaa sthaan rakhte hue ek raashtra ke roop mein viksit hotaa ja rahaa hai.

So Ambedkar hi Bharat ka Bahujan hai aur Bahujan hi Ambedkar hai.

Aur Ambedkar hai Dr BR Ambedkar ji ke siddhant (principles), unki banayee samajik aur nyaayik vyavastha (Social and judiciary system) jo ki unhone Bahu-sankhyakon ke poshan evam kalyaan ke liye banayee thee.

So desh ko sanchaalit karne ke liye Ambedkar ji ke sthaan (space of Ambedkar) ko arthaat unke sidhaanton (principles) ko kaayam rakhna zaruri hai kyonki iske kaayam rehane se hi desh ka Bahujan desh ka sanchaalan theek se kar payega.

Isiliye sab Bahujan ko arthaat Ambedkar ko arthaat bahu-sankhyankon ko niyantrit (control) karna chaahte hain kyonki Bahujan se hi desh ka sanchaalan hota hai.

Par Bahujan ke uske adhikaar chheen kar desh ki sampadaa par kabzaa karne ke liye bhrashta tarikon ka istemaal kar ke Bahujan ko kamzor kiyaa jataa.

Par maatra apana bhavishya jyadaa se jyadaa sunishchit karne mein nimmna-sankhyak {lesser number of people (of India), classes, or privileged castes or people protected as industrialists, businessmen or any community having maximum number of rich or privileged people and it keeps the wealth among itself by marrying in the same community) yeh bhool jaate hain, ki is se desh ka sanchaalan dheeme padtaa hai aur varg sangharsh badhtaa hai.


AMBEDKAR HI BAHUJAN HAI.
BAHUJAN HI AMBEDKAR HAI.
AMBEDKAR HI BHARAT HAI.
BHARAT HI AMBEDKAR HAI.


Aap kahenge ki agar aisaa hai to upar likhi panktiyon mein Bahujan Ambedkar se pehle anaa chaahiye thaa kyonki Bahujan arthaat Bahusankhyak to pehle se hi the.

Ambedkar pehale isiliye rakhaa hai ki Bahujan tab hi kehlaya jayega jab bahu-sankyakon ke poshan aur kalyaan ko hi raashtra ka uddeshya manaa jayega.

Anur chunki Bharat ka nirmaan Bahu-sankhyakon ke poshan aur kalyaan ke lie hua ahi aur is uddeshya ki neenv Dr BR Ambedkar ji ke siddhanton par padi hai isiliye siddhant ko upar rakhaa gayaa hai kyonki sidhhant ko jab tak poora nahin kiyaa jayegaa Bahujan nahin ban payega.

Aur yah siddhant hai - Bahujan ka poshan aur kalyaan hi raashtra ka uddheshya. - Yahi hai Ambedkar. Yahi hai Bharat.

To Ambedkar ka sthaan wahi sthaan hai jahaah se Bharat shuru hota hai aur aage badhtaa hai.

Is sthaan ki, Ambedkar ki, jang hi Bharat ki Rajnaitik utthaa-pataak hai.

Par choonki aaj tak naa hi to Ambedkar ko (Saidhantik aur Vaidhanik roop se arthaat Bahujan (SC/ST/OBC evam anya pichhare aur garibon) ko (Bhautik aur Nyaayik roop se) wah sthaan desh main mil payaa hai, jo ki us nimnna-sankhyak samaj ko milaa hai jinke haath mein Bahujan dwara arjit kiye gaye desh ki sampadaa hai.

Isi sampadaa ko nimnna-sankhyakon ne khud ko jaatiyo ya vishesh dharm aadi mein simit rakh kar Bahu-sankhyankon (Bahujan) ke paas jaane se rok diyaa hai jis-se desh ke Bahujan ka poshan aur kalyaan theek se nahin ho paa rahaa hai aur sangharsh badhtaa hi ja rahaa hai.

Bahu-sankhyakon (Bahujan) ke liye -

nimmna-saadahn;
nimmna samajik patishtha;
nimmna-sankhyankon ke Bahujan par atyaachaar;
Bahujan ke atyaadhik adhikaaron ka bal-chhall dwara hanan;

aur antatah:-

Bahujan ka kuposhan evam hanan arthaat desh ka hanan.

Aur iska rastaa hai Satta ka durrupyuog arthaat desh-droh raashtra-droh, jo ki kewal Bhaujan ke ahit mein hi sambhaw hai kyonki:-

RASHTRA KA UDDHESYA HAI BAHUJAN KA POSHAN AUR KALYAAN
nikhil_sablania
nikhil_sablania

Posts : 109
Join date : 2010-10-23
Age : 44
Location : New Delhi

http://www.nspmart.com

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum